8 COMPUTER TRICKS MUST WATCH !!!

Bohut Se Log Internet Aur Computer Ka Istemal Karte Hai Hain Lekin Aese Bohut Si Tricks Hain Jo Woh Nahi Jante Unhi Main Se Kuch Tricks Ke Barein Main Hum Baat Karein Gey.
ک…پیوٹر کی آٹھ ٹریکس
ڈیپ ویب کیا ہ’ ؟ خطرناک انکشاف
AKHIR DEEP WEB OR DARK WEB KYA HAI ? DEEP WEB PAR KYA HOTA HAI?
1. Tabbed Browsing
Agar Aap Kisi Link Par Click Kar Rahe Hai Aur Oss Link Ko Aap Ko New Tab Main Open Karna Hai To Aap Ctrl Press Kar Ke Os Link Par Click Karein Woh New Tab Main Open Hojayega.
2. Blank Tab
Agar Apko Apne Browser Main New Blank Tab Open Karna Hai Toh Aap Sirf Ctrl Aur Sath T Press Kar Dein New Tab Open Ho Jayega.
3. Google Timer
Agar Aap Ko Timer Ya Stopwatch Ki Zarorat Hai Toh Sirf Google Main Type Karein “Timer” To Apke Samne He Google Stopwatch Aur Timer Ajayega.
4. Browser Zoom In And Zoom Out
Aap Apne Browser Ko Zoom In Zoomout Bohut Asani Se Kar Sakte Hai Bus Ctrl Ke Sath + Plus Press Kare Zoom In Ke Liye Aur Zoom Out Ke Liye Ctrl Ke Sath ” Minus.
5. Opeb Website Without Dot Com
Agar Apko Koi Bhi Website Visit Karni Ho For Example Blogger Pakistani To Ap Sirf Bloggepakistani Likh Kar Ctrl Aur Enter Press Kardein Dot Com Likhne Ki Zarorat Nahi.
6. Google In 1998
Agar Aap Google Search Main “Google In 1998” Search Karein Ge Toh Aap Ko Google Wese Hi Dikhai Dega Jesa 1998 Main Dikhai Deta Tha.
7. Undo Tab
Agar Aap Ne Koi Tab Close Karliya Hai Aur Usko Aap Wapis Se Open Karna Chahte Hai Toh Sirf Ctrl Shift Aur T Press Kardein Tab Wapis Se Open Hojayega.
8. Pin Tab
Agar Aap Kisi Tab Ko Bilkul Close Nahi Karna Chahte Toh Right Click Kar Ke Pin Tab Par Click Kardein.
Spread the love

Aly Chiman

Aly Chiman is a Blogger & Reporter at AlyChiTech.com which covers a wide variety of topics from local news from digital world fashion and beauty . AlyChiTech covers the top notch content from the around the world covering a wide variety of topics. Aly is currently studying BS Mass Communication at University.