DEFERENCE BETWEEN 1G , 2G , 3G , 4G , 5G TECHNOLOGY

Duniya Main Mobile Phone Par Internet Ka Istemal Tezi Se Phel Raha Hai Aur Jis Tarah Humari Zarorat Barh Rahi Hai Ossi Tarah Technology Bhi Aggey Barh Rahi  Jab Hum Mobile Phone Main Internet Ka Istemal Karte Hai Toh Hum Dekhte Hai 1G 2G 3G Aur 4G Kya Aap Jante Hai 1G 2G 3G Aur 4G Main Farq Kya Hai? Nahi!

1G Technology
Sub Se Pehle 1G Aya Jo Ke First Generation Technology Thi Jiska Ka Istemal 1980 Main Shuro Hua Yeh Technology Sub Se Usa Main Shuro Hui Is Technology Main Sirf Aap Apne Phone Se Voice Call Kar Sakte Lekin  Aap Sms Aur Mms Nahi Kar Sakte They Yeh Phone Bohut Pehle Istemaal Hote They Iss Technology Ko AMPS , NMT , Aur TACS Kaha Jata Tha.
 
2G Technology
Technology Aggey Barhi Aur 1991 Main Aya 2G Jo Ke Second Generation Technology Thi Yeh Technology Sub Se Pehle Finland Main Shuro Hui Aur Pehli Baar Gsm Network Mutarif Hua Ab Na Sirf Voice Call Balke Saath Hee Sms , Mms Aur Internet Bhi Kiya Ja Sakta Tha Lekin Iski Speed Itni Ziada Nahi Thi Lekin Log Phir Bhi Iska Istemal Karte They Iski Speeed 0.1Mbits Se 0.3Mbits Hoti Thi 2G Technology Ko GPRS Aur EDGE Kaha Jata Tha.
 
2.5G , 2.75G , 3G ,  3.5G & 3.75G
2G Ke Baad 2.5G Aur 2.75G Aya Yeh Technology 3G Se Pehle Ayi Thi Iski Speed Slow Thi Aur Phir 1998 Main  3G Bhi Agaya Yeh Third Generation Technology Thi Jiski Yeh Technology Sub Se Pehle Japan Main Shuro Hui Aur Yeh Kaafi Teez Internet Tha Iski Internet Speed Kaafi Teez Thi 3G Ke Aane Ke Baad 3.5G Aur 3.75 Bhi Agaya Tha Iss 3G Technology Ko HSPA HSPA+ Aur DC-HSPA+ Kaha Jata Tha Inki Speed 42Mb Tak Ja Sakti Thi Jese Jese Generation Aggey Barhti Rahi Unki Speed Teez Hoti Rahi.
 
4G Technology
2008 Main Aya 4G Internet Yeh Fourth Generation Technology Thi Jo Ke Bohut Fast Hai Yeh Technology Sub Se Pehle South Korea Main Shuro Hui Thi Jo Hum Ab Bhi Use Karte Hain Iss Technology Ko LTE Kehte Hain Aur Iski Speed Kaafi Teez Hoti Hai Iski Speed 100Mb Tak Ja Sakti Hai.
 
5G Technnology Coming Soon!
5G Intenet Ke Barein Main Ka Jaraha Hai Ke Bohut Jald Who Bhi Ajayega Aur Iski Speed Bohut Teez Hogi Aur Isme Kya Kuch Naya Dekhne Ko Milega Woh Toh Jab Ayega Toh Hee Pata Chalega.
Spread the love

Aly Chiman

Aly Chiman is a Blogger & Reporter at AlyChiTech.com which covers a wide variety of topics from local news from digital world fashion and beauty . AlyChiTech covers the top notch content from the around the world covering a wide variety of topics. Aly is currently studying BS Mass Communication at University.