Without Paypal And Credit Or Debit Card Ke Hositng Kaise Buy Karein

       
Asalam O Aliekium Dosto Aaj Main Apko Batao Ga Ap Kaise Bina Kisi Credit Ya Debit Card Aur Bina Kisi Paypal Account Ke Apne Liye Hosting Khareed Sakte Hai Yeh Post Speaclially Pakistanio Ke Liye Hai.
Chaliye Shuro Karte Hai !
Dosto Ap Main Se Bohut Se Log Apni Website Banana Chahte Honge Koi Blogging Ke Liye Koi Koi Business Ke Liye Lekin Uske Liye Hosting Ki Zarorat Hoti Hai Lekin Hosting Buy Karne Keliye Kabhi Humare Pas Credit Ya Debit Card Nahi Hota Kabhi Kuch Problem Ati Hai Kabhi Kuch Aur Kabhi Humhe Hosting Khareed Ne Liye Paypal Ke Account Ki Zarorat Parhti Hai Lekin Main Apko Jo Tarika Batane Laga Hun Oss Se Aap Bina Kisi Bank Account Ya Credit / Debit Ke Apne Website Ke Liye Hosting Khareed Sakte Hai Yeh Cheap Hai Aur Sath Apko WordPress Joomla Aur Software Etc Provide Karta Hai Aur Apko Unlimited Hosting Aur Bandwidth Bhi Provide Karti Hai Aur Sath He Domain Name Free! Hai.
Step One:
Dosto Pehle to Ap Is Website Par Jayen Host.com.pk.
Step Two:
Phir Aap Gold Pakage Select Karein.
Step Three:
Phir Apna Free Domain Name Select Karein Apni Marzi Se.
Agar Ap Dot Pk Domain Select Karein Toh Coupen Main (Freepk) Zaror Likhe Apko Discount Mile Ga.
Step Four:
Apna Name Email Aur Home Adress Password Etc Sub Kuch Likhne Ke Baad Payment Method Easypaisa Select Karien Aur Checkout Kar Dein Ab Jab Ap Telenor Easypaisa Se Payment Kardein Ge Toh Ap Customer Service Par Call Kar Ke Unko Bata Dein Woh Apka Domain Aur Hosting Active Karde Ga.
Dosto Mujhe Umeed Hai Ap Logo Ko Yeh Pasand Aya Hoga Please Isko Share! Karien.
 

Aly Chiman

Aly Chiman is a Blogger & Reporter at AlyChiTech.com which covers a wide variety of topics from local news from digital world fashion and beauty . AlyChiTech covers the top notch content from the around the world covering a wide variety of topics. Aly is currently studying BS Mass Communication at University.