BITCOIN KYA HAI ? IN DETAIL BITCOIN FACTS

March 17, 2018 by SYED MUHAMMAD JIBRAN SHAH
Bitcoin Kya Hai Yeh Iska Kya Faida Hai Aur Bitcoin Ke Kya Nuqsan Hai Aur Akhir Kab Aur Kisne Shuro Kiya Bohut Se Sawal Oth Rahe Hain Inhi Sawalo Ke Jawabj Iss Article Mein Diye Jayenge.
 
What Is Bitcoin ?

Bitcoin Ek Cryptocurrency Hai Jo Online Use Hoti Hai Isko Digital Currency Bhi Kaha Jata Hai Bus Aap Ke Pas Kuch Number Hotey Hai Jo Apki Property Hoti Hai Na Toh Yeh Aesi Currency Hai Jo Dikhai De Aur Na Aap Bitcoin Ko Physically Touch Kar Sakte Hai Jese Dollar Bill Ya Rupees Wagaira Bitcoin Ki Price Bohut Teezi Se Barh Hai Aur Bohut Teezi Se Kam Bhi Hoti Rehti Hai.
 
 
 
Bitcoin Ka Owner Kon Hai?

Bitcoin Ka Owner Kon Hai Yeh Baat Abhi Bhi Ek Raaz Hai Bitcoin Ki Shurwat Jisne Bhi Ki Uska Aaj Tak Pata Nahi Chala Shuro Main Jo Domain Bitcoin Ke Liye Register Kiya Gaya Tha Woh Satoshi Nakamoto Ke Naam Se Kiya Gaya Tha Tab Us Shaks Ki Talash Bhi Shuro Hogai Aur Ek Satoshi Nakamoto Mil Bhi Gaya Shuro Main Toh Isne Iss Baat Ka Iqrar Kiya Ke Wohi Nakamoto Hai Lekin Baad Main Isne Inkar Kardiya Toh Bitcoin Ki Jisne Bhi Shurwat Ki Uska Kuch Pata Nahi.
 
 
 
Bitcoin Is Limited

 
Bitcoin Coin Limited Hai Bitcoin Ki Total Limit 21 Million(21,000,000) Hai Aur Ab Tak 16,911,300 Bitcoin Sell Ho Chukey Hain 21 Million Ke Baad Bitcoin Sell Hona Band Hojayenge Sirf Wohi Shakhs Aap Ko Bitcoin Sell Kar Sakta Jisne Pehle Se Khareed Liye Hon.
 
 
Bitcoin Ka Faida

Bitcoin Ka Faida Yeh Hai Ke Iski Price Bohut Teezi Se Barhti Hai Toh Faida Bhi Bohut Hota Hai Jab 2009 Main Bitcoin Shuro Hua Tha Toh Iski Price $0.54 Dollar Thi Aaj Iski Price $9,395.24 Dollar Hai Toh Jinn Logon Ne Bhi Uss Waqt Bitcoin Khareeda Tha Woh Log Bohut Ameer Hogaye Jese Kristoffer Koch Ne Sirf $28 Dollar Main 5,000 Bitcoin Khareed Liye Aur Aaj Unki Price $8,238.97 Dollar Hain Bitcoin Ka Faida Yeh Bhi Hai Ke Aap Koi Transaction Fees Nahi Deni Hoti Aap Ko Yahan Par Bohut Si Azaadi Hai.
 
Bitcoin  Ka Nuqsan

Bitcoin Ka Nuqsan Yeh Hai Ke Bitcoin Ki Price Bohut Teezi Se Niche Aati Hai Aur Sath He Security Probelm  Bhi Hai Agar Aap Bitcoin Ki Private Key Bhool Gaye Toh Aap Ka Sara Ka Sara Paisa Doob Jayega Aur Agar Galti Se Aap Ne Kisi Aur Ke Account Main Bitcoin Transfer Kardiye Toh Apke Bitcoin Wapis Nahi Ah Sakte Bitcoin Hack Bhi Hosakta Hai Ab Tak Millions Bitcoin Hack Ho Chuke Hain Agar Aap Ke Bitcoin Hack Hogaye Toh Aap Kuch Nahi Kar Sakte.
 
Pehli Cheez Jo Bitcoin Se Khareedi Gayi

Sub Se Pehli Cheez Jo Bitcoin Se Khareedi Gayi Who Pizza Tha  Jisne Pizza Khareeda Tha Uska Naam Laszlo Hayecz Tha Aur Usne 2 Pizza 10,000 Bitcoin Ke Khared Liye Jinki Keemat Uss Time $41 Us Dollar Thi Aur Unn Bitcoin Ki Price Aaj $93,861,750 Us Dollar Hai
 
 
 
 
Bitcoin Aur Government

Bitcoin Goverment Ke Liye Bilkul Theek Nahi Hai Kyu Ke Aap Seeda Government Ke Pait Par Laat Mar Rahe Hain Bitcoin Main Aap Chup Kar Bina Tax Diye Bitcoin Ka Istemal Kar Sakte Hai Asal Main Bitcoin Government Ke Tax Net Main Nahi Hai Toh Seeda Seeda Yeh Tax Ki Chori Hai Bitcoin Ka Criminal Activity Main Bhi Istemal Horaha  Jese Money Laundring Aur Black Market Main Iska Istemal Horaha Hai Aur Hacker Iska Istemal Kar Rahe Hain Yehi Wajah Hai Ke Goverment Isko Pasand Na Karey.
Spread the love
·
·

Aly Chiman

Aly Chiman is a Blogger & Reporter at AlyChiTech.com which covers a wide variety of topics from local news from digital world fashion and beauty . AlyChiTech covers the top notch content from the around the world covering a wide variety of topics. Aly is currently studying BS Mass Communication at University.